Pages

Tuesday, August 18, 2009

first day

so here is my first step in writing blogs..I have already been writing pages from almost 10 years n now its digital as I am. U know most of the time its life, around which I roam in my diary.. but its a never ending topic I know. I have decided now to map my thinking, my life n my views to these pages so writing faltu stuff here.. :)

UK is cool n calm.. itnan jitna maine socha b nahi tha ki kabhi hoga.. thoda akelapan thodi si veerani par hamesha ki tarah nahi..pata hai yahan ek sukoon sa b hai jo hamesha yaad dilata hai kisi guzri baat ki.. aisi shaam ki jise kabhi ji chuka hun main pehle b. yahan din nahi beet pate par hafte kaise guzar jaate hain main samjh nahi paata. life ko daliy jeena baut mushkil hai yahan woh b tab jab aapke pass koi na ho aapka aapki awaz sun ne wala b , khud aapke siwa.. yahan aane ki jo wajah thi woj aaj b hai aur hamesha rahegi par kisi ki kami jo rehti hai hamesha usse koi bhulana bhi namumkin si baat hai.. pata hai tanha rehna mujhe kabhi b pasand nahi tha par kuchh saalon mein yeh change dekha khud mein ki akelapan sahi lagta hai. khud se baat karna b to jaruri hai na! Insaan ki fitrat hoti hi hai aisi ki woh har cheez ki aadat daalna chahta hai hamesha.. woh hota hai na confort zone ka funda.. so har insaan ka waise hi haal hai..hum sabka!! jo jahan hai wahin rehna chahta hai waise hi. hamesha.. dukh hota hai change se kabhi kabhi..darr lagta hai.. par life to change hoti hi hai.. aur hum khud ko ussi change mein dhaalte chale jaate ain..aur phir se woh hamari comfort zone mein aa jata hai aur pir wahi kissa chalu .. resistance for any change..aree state to FSM ki b change hoti hain..hum to insaan hai phir b :)