Pages

Tuesday, June 14, 2011

aaj phir..


aaj phir kuchh toota andar, ek aakhiri ummid bachi thi jaise..
aaj phir chahna chhod diya maine zindagi ko, ek aakhiri saans bhari ho jaise.

aaj waqt phir sikha gaya kuchh rula kar, yeh zindagi ek majaak ban gayi ho jaise..
aaj ek ladai phir haar gaya main, ek aakhiri jung ladi ho jaise.

aaj khud ka naam bhool jana hai mujhe, main kabhi tha hi nahi jaise..
aaj sochna chhod dena hai maine khud ko, meri maut ho chuki ho jaise.


- by ram

Monday, June 6, 2011

jo woh jaante..


jo woh jaante, ki kitna main chahta hun unhe..
shayad door na hone dete woh nazron se mujhe.

jo woh jaante, kitna tapadta hun main unke liyen.
shayad quid kar lete woh baahon mein mujhe.

jo woh jaante, yeh aankhen bolti hain bus unke liyen..
shayad bolne na dete woh hothon se mujhe.

jo woh jaante, saansen chalti hain chahat se unki..
shayad chahte woh chahat se jyada mujhe.

jo woh jaante, khuda hain woh mere liyen..
shayad jaane na dete woh ibadat pe mujhe.

- by "ram"

Friday, June 3, 2011

feeke sapne


har sapne se aage jaise woh pal feeke se lagte hain,
jab sath rahe jo saye se, woh aaj ajnabi bante hain..

har baat se humko unki woh, khud ko main zinda lagta tha..
har saans jo har pal leta main, ho hak unka sa lagta tha..

par ismein unki kami na thi, har baat hamein ne tay ki thi..
jo rah hamein na jaani thi, woh raah chuni b hamne hi..

shayad itna nahi socha tha, aur itna main nadaan na tha,
jo b maine kar daala tha, uska yun hi mol chukana tha..

yeh din jaise guzren hain yun, bus shaamein ginta rehta main..
ek bojh sa dhota khud ka main, har pal bus marta jata main.

khud ko b badal main daalun to, hasil woh shayad phir b na ho..
par galti to sujhani hai, usse kuchh baaki ho na ho.

-ram