Pages

Monday, October 17, 2011

unhe gussa jab jab aata hai.. :)

yeh dharti thar thar kaanpe hai yeh aasman ghabrata hai,
aur cheekhen sunki jab unki woh, mann bhi behra ho jata hai.
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

Meri har call ko kaaten woh, mujhe har baat pe daantein woh,
unhe baal jhatakne se leke, wo peir patakna aata hai.
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

woh chhota packet lagte hain, par bada dhamaka karte hain,
jab gusse mein woh hote hain, hum jaan bachaye firte hain..
unka woh snow sa gora rang, bus surkh lal ho jata hai,
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

-by ram

Monday, August 22, 2011

propose.. :)


i might be saying nonsense stuff
may be awkward may be smthng wierd
but watever it is,i have to say..
smtms u just start luving thinking abt sm1
for no reason of course..
smtms its gud u stare on a pic for hours, even though u know it wont change
but at that time u feel its the best, hw u can utilize that particular moment, that hour , that day..
i feel the same for u..
do i need to say nythng else to make u undrstnd?
m not asking for anythng from u, neither yes nor no
neither any expectation nor any desire..
its just a expression of wat i have inside for u
feelings can not be generated, no one can
but wen u have them for sm1, its the best time to express wat u think for that person
its time to tell u the things, my way, pls dnt mind,
sorry u feel hurt

Sunday, August 14, 2011

Shopper's Stop - :P

market mein baithe bande sab, mujhko dushman ghanghor milen,
jab shopper's stop se hamre woh ban-than k market-mall chalen.
woh sale ho jooti chappal ki, ya jeans top ki sale chale,
har shop pe debit card liye, meri woh express mail mile.

unhe suit chahiye matching ke, jab jab sandal ki sale chale,
aur naye suit k sath mein phir, kangan pichhle bemail milen,
yeh kharch nahi jarurat hai, har baar vachan anmol milen,
jab shopper's stop se hamre woh ban-than k market-mall chalen.

ready jab unko dekhun main, na dhadkan pe control chale,
main sath chalun ya mana karun, mujhko na apna role mile.
jab shop pe unko roku main, meri har koshish fail mile.
har shop pe debit card liye, meri woh express mail mile.

by - ram

woh subah..

jab aasma ki chhat meri hogi, aur mera suraj chamkayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab saans le sakunga main, har gham ko bhula kar,
jab jeet jaunga main kai haar mita kar,
jab kabhi na bhujhne wali kiranen chamchamayengi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab meri hasi mein bus sach ki khan khan aayegi,
aur jindagki ki har shaakh pe bus khushi chehchahayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab un do aankhon mein khud ko pa sakunga main,
jab un do baahon mein khud ko kho sakunga main,
woh choodiyan khankengi aur meri dhadkanein badh jayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab uski hasi ko sunna har pal ki khwahish hoga,
jab uski ichchha poori karna jeene ka maksad hoga,
jab ek pal na dikhegi woh aur meri aankhen bhar aayengi,
woh subah kabhi to aayegi.


by - ram

Friday, July 22, 2011

Anjaana chehra..


kuch dekhta hun main door us kinare par,
jisse hasil kar pana mushkil lagta hai mere liyen..

pehchan lena us mod se aati har mehak ko,
aur chahna har pal ussi lamhe ko jo jiya tha maine kabhi..

us ped ki chhanv mein baithke khud ko dekhna,
koshish karna pehchanne ki jo chehra waqt ne badal diya h mera..

sochne ki koshish mein sab kuchh badal dene k liyen,
naya kuchh laane ke liyen jo mera hoga b nahi shayad..

Wednesday, July 13, 2011

pain n pain n pain............

i dnt know wat others think, no matter what they do
i know i killed some faith, i know i broke some trust

seems m waste, m junk, i just born to spread pain in my loved ones,
i just hate the way i talk, i walk, i see, i believe, i do

i wanna change myself, just a complete recycle of me,
washing all the memories, all the brains,

wanna punish myself, passing all the sorrow, all the pain,
wanna hurt myself, passing all the weapons, passing all the wars,

unable to breathe, unable to bear guilt of my own acts,
i just hate myself when i smile, when i laugh, when m happy,

seeing people around, i feel how bad i am, can feel my sins flowing in my veins,
can see a demon inside, smiling at my every move, can see myself feeding him with my every step

finally its gud to c, life itself became punish to me,
with each day, each moment, each breathe, i see myself dead..
I know it will rise n rise with each new day, n i will keep dieing with every sunrise & sunset.

Tuesday, June 14, 2011

aaj phir..


aaj phir kuchh toota andar, ek aakhiri ummid bachi thi jaise..
aaj phir chahna chhod diya maine zindagi ko, ek aakhiri saans bhari ho jaise.

aaj waqt phir sikha gaya kuchh rula kar, yeh zindagi ek majaak ban gayi ho jaise..
aaj ek ladai phir haar gaya main, ek aakhiri jung ladi ho jaise.

aaj khud ka naam bhool jana hai mujhe, main kabhi tha hi nahi jaise..
aaj sochna chhod dena hai maine khud ko, meri maut ho chuki ho jaise.


- by ram

Monday, June 6, 2011

jo woh jaante..


jo woh jaante, ki kitna main chahta hun unhe..
shayad door na hone dete woh nazron se mujhe.

jo woh jaante, kitna tapadta hun main unke liyen.
shayad quid kar lete woh baahon mein mujhe.

jo woh jaante, yeh aankhen bolti hain bus unke liyen..
shayad bolne na dete woh hothon se mujhe.

jo woh jaante, saansen chalti hain chahat se unki..
shayad chahte woh chahat se jyada mujhe.

jo woh jaante, khuda hain woh mere liyen..
shayad jaane na dete woh ibadat pe mujhe.

- by "ram"

Friday, June 3, 2011

feeke sapne


har sapne se aage jaise woh pal feeke se lagte hain,
jab sath rahe jo saye se, woh aaj ajnabi bante hain..

har baat se humko unki woh, khud ko main zinda lagta tha..
har saans jo har pal leta main, ho hak unka sa lagta tha..

par ismein unki kami na thi, har baat hamein ne tay ki thi..
jo rah hamein na jaani thi, woh raah chuni b hamne hi..

shayad itna nahi socha tha, aur itna main nadaan na tha,
jo b maine kar daala tha, uska yun hi mol chukana tha..

yeh din jaise guzren hain yun, bus shaamein ginta rehta main..
ek bojh sa dhota khud ka main, har pal bus marta jata main.

khud ko b badal main daalun to, hasil woh shayad phir b na ho..
par galti to sujhani hai, usse kuchh baaki ho na ho.

-ram

Monday, February 14, 2011

aur door basi ek nagri mein..


jab palkein bhaari hoti hain, par mann sone nahi deta hai.
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..

ab raatein maana karta hun, kuch ashkon k beh jaane ko.
aur subah ka suraj ugta hai, phir din kaala kar jaane ko.
Jab raah sujhana khud ko hi, sabse mushkil sa lagta hai,
aur bheed mein khona har pal hi, bus hal is sabka lagta hai..

har chehre mein jise dekhun main, woh kahin to gum sa lagta hai..
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..

ek shakla badalne ki dhun mein, main khud ko khota jata hun..
aur baat johta phir sach ki, main jhooth sa hota jata hun..
har bhool ko sach sa karta main, khud ko hi bebus pata hun..
phir patri pe wapis aane ko, ek aur bhool kar jata hun..

inhi andhero mein thak kar sona, jeene ka maksad lagta hai,
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..