Pages

Monday, December 13, 2010

khuli adhkhuli gathri..

jab khuli adkhuli si gathri mein, na aashaon k chhor dikhe..
aur wahi raste band se lage, jinpar khushiyon k mod dikhe.

woh raah jo phoolon mein gum thi, uspar kaante purjor dikhe,
ho ujiyalon ki chakachaund par, ghor andhera aur dikhe.

jitna uppar main jata jaun, utna uncha woh or dikhe,
har umra mein se aage badhta woh, sapna ka jaise daur dikhe.

mere har sapne manzil se, jyada bhaari yeh bojh dikhe,
jise sehke na ji paun main, aisi taakat yeh zor dikhe.

jab khuli adkhuli si gathri mein, na aashaon k chhor dikhe..
aur wahi raste band se lage, jinpar khushiyon k mod dikhe.

- by ram

Sunday, March 14, 2010

Quiting..Ultimate solution...

jab sab kuch ho pass mere, to jaana kahan suhata hai.
par hal pal marte rehne sa, ye jeena bhi na bhata hai..

koshish kar k ab haar gaya, woh sab kuch to bekaar gaya.
ab raah wahi reh jati hai, jo bahut door le jaati hai..
thak ke rukna chal jata hai, par yun jeena mujhe na aata hai.
aur hal pal marte rehne sa ye jeena bhi na bhata hai..

hum insano ki basti mein isse behtar koi rah kahan.
jo dikhe door har uljhan se, sab manjil aake milen wahan..
mann raah wahi ek chun ne ko sabse aasan ab pata hai..
aur hal pal marte rehne sa ye jeena bhi na bhata hai..


-ram

Tuesday, February 23, 2010

woh ...

unse milna kuch aisa hai, jaise pyara ek sapna sa,
har pal aur sath bitane ko, yeh mann b kehta pagla sa.

unse ek luv u sunne ko hum 7 baje uth jate hain,
aur raat ko sun ke sone se, sapne b meethe aate hain.

har baar batana unko ye, hum un pe kitna marte hain,
aur pyar jatana unse hi, jab woh b miss u kehte hai.

ab jab b main ghabrata hun, woh pyar se "main hun" kehte hain,
aur sath rahenge hum yun hi, yeh soch k hum khush rehte hain.



-ram