Pages

Saturday, November 28, 2009

koi apna sa...

jab koi apna ban jata hai, har dukh aadha ho jata hai..
jab sath hamare chalta woh, rasta chhota ho jata hai..

har pal bus usko paane ki, koshish mein mann yeh rehta hai,
jab samne wo aa jata hai, sab kuch bus tham sa jata hai..
jab koi apna ban jata hai, har dukh aadha ho jata hai.

jab maine yeh jag jaana tha, tab main ikla anjana tha,
par jabse usko jaana hai, sab lagta bahut suhana hai..
ab ikle baitha karta hun, par tanha nahi hota hun main,
woh har pal hai ab sath mere, sab uski baatein yaad mujhe,

har baat ussi ko kehne se, jab mann b khush ho jata hai,
aur usse har raaz batane se, sab kuchh hasil ho jata hai..
phir shaam bitana us din ki, jab usse milna hota hai,
jeevan ka har rang dikhta jo, shayad bus mann mein hota hai..

jab raat ko jagte khwabo mein, har pal woh chehra dikhta hai..
aur soch ke usko aise hi yaadon ka sooraj ugta hai,
woh raat bitana baaton mein, aur jaagte rehna aankhon mein,
aur maang khuda se usko hi bus jodte rehna haathon ko,

sab kuchh sapna sa lagta hai , jab koi apna sa lagta hai,
jo socha woh bus chahe to, jeena aasan ho jata hai..
jab koi apna ban jata hai, har dukh aadha ho jata hai..

-by ram