Pages

Thursday, October 1, 2009

tanha..

kaun kehta hai main tanha hun yahan..
jo hota to kyun tum yun hath thaame chalti mera.
kaun kehta hai ki tum door ho mujhse..
door hoti to tumhari khusbhu kaise aati bhala.

jo dooriyon ki paribhahsa suni thi..woh to galat hi sabit ho chuki..
kahin khuda to nahi tum..jo matlab badal diya ho tumne har baat ka..
gar sun na pata jo main to maan b leta khud ko akela phir..
par teri khanakti hasi ko ansuna kaise kar dun main bhala..

jab shaam ko ghar aate mein teri yaad muskuraya karti hai mere hothon pe..
to kaise maan lun ki tu sath nahi humsafar ki tarah..
haan, galat hain woh jo tujh ko mujhse door bataya karte hain..
gar akela hota to har chehre mein tu kabhi dikhti bhala...


-by "ram"
zindagi...my life...

zindagi ko has kar bulate, maine dekha hai..
kabhi bahon mein jhulate kabhi pyar se sulate, maine dekha hai.

dhoop mein khade hoke khud ko chhaun se bachate, maine dekha hai..
chhat hokar bhi boodein mein bheeg jate khud ko, maine dekha hai.

sab kuchh pass hote hue bhi, band kamre mein aansun bahate khud ko, maine dekha hai..
hamesha kuchh paane ki koshish mein haathon ko khali jaate hue maine dekha hai.

jin par khud se jyada yakin tha mujhe, unhe jhat se mukar jate, maine dekha hai..
jinke liyen jaan de sakta tha main, unhe mujhi se daman bachate, maine dekha hai.

jab sab kuchh pyara dikhta ho, us pal sab ojal hote, maine dekha hai..
saare sapno ko bus aankhon mein hi khote, maine dekha hai.

shayad ret k gharonde the mere, jo waqt ki lehron mein beh gaye,
aur hum jo sochne wale the, bus sochte hi reh gaye!!


-by "ram"