Pages

Saturday, January 18, 2014

aiwe hi..

jab jab b jehannum se humne dekha unko muskurate hue, 
khudkashi karne ka ranj aur gehra gaya..

Tuesday, January 29, 2013


sometimes i feel i am alone.. means akela hun ekdum..
lagta hai ki yeh main kar kya rha hun.. itna kuchh hua aur main roya kyun nahi.. yeh sab jhela maine main hun kaisa.. main saans b kaise le sakta hun aise mein.. mujhe ajeeb sa lagta hai sab kuchh tab.. main khus ko, meri baatein harkatein, meri aadatein sab kuchh.. mujhe yaad aata hai ki kya kya hua sab ek saal mein.. sab kuchh.. jo badal gaya hai aur badal rha hai tei se.. itna sab hua itna kuchh.. main soch b nahi pata ki maine yeh sab jhela aur uske baad b.. aaj b.. main has pata hun.. logo k beech khada reh pata hun sir utha k.. koi nahi mer pass baatein karne k liyen b kabhi kabhi to.. jaise aaj.. pata nahi kyun.. reason nahi samjh pata.. mere 2-3 dost hain.. 2-3 relative.. 1 ofc.. aur unhi sab k sahare chalti yeh meri life.. pata nahi sab sahi hai ya sab galat.. but ajeeb hai yaar ajeeb hai..

Monday, October 17, 2011

unhe gussa jab jab aata hai.. :)

yeh dharti thar thar kaanpe hai yeh aasman ghabrata hai,
aur cheekhen sunki jab unki woh, mann bhi behra ho jata hai.
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

Meri har call ko kaaten woh, mujhe har baat pe daantein woh,
unhe baal jhatakne se leke, wo peir patakna aata hai.
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

woh chhota packet lagte hain, par bada dhamaka karte hain,
jab gusse mein woh hote hain, hum jaan bachaye firte hain..
unka woh snow sa gora rang, bus surkh lal ho jata hai,
unhe gussa jab jab aata hai, unhe gussa bahut hi aata hai..

-by ram

Monday, August 22, 2011

propose.. :)


i might be saying nonsense stuff
may be awkward may be smthng wierd
but watever it is,i have to say..
smtms u just start luving thinking abt sm1
for no reason of course..
smtms its gud u stare on a pic for hours, even though u know it wont change
but at that time u feel its the best, hw u can utilize that particular moment, that hour , that day..
i feel the same for u..
do i need to say nythng else to make u undrstnd?
m not asking for anythng from u, neither yes nor no
neither any expectation nor any desire..
its just a expression of wat i have inside for u
feelings can not be generated, no one can
but wen u have them for sm1, its the best time to express wat u think for that person
its time to tell u the things, my way, pls dnt mind,
sorry u feel hurt

Sunday, August 14, 2011

Shopper's Stop - :P

market mein baithe bande sab, mujhko dushman ghanghor milen,
jab shopper's stop se hamre woh ban-than k market-mall chalen.
woh sale ho jooti chappal ki, ya jeans top ki sale chale,
har shop pe debit card liye, meri woh express mail mile.

unhe suit chahiye matching ke, jab jab sandal ki sale chale,
aur naye suit k sath mein phir, kangan pichhle bemail milen,
yeh kharch nahi jarurat hai, har baar vachan anmol milen,
jab shopper's stop se hamre woh ban-than k market-mall chalen.

ready jab unko dekhun main, na dhadkan pe control chale,
main sath chalun ya mana karun, mujhko na apna role mile.
jab shop pe unko roku main, meri har koshish fail mile.
har shop pe debit card liye, meri woh express mail mile.

by - ram

woh subah..

jab aasma ki chhat meri hogi, aur mera suraj chamkayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab saans le sakunga main, har gham ko bhula kar,
jab jeet jaunga main kai haar mita kar,
jab kabhi na bhujhne wali kiranen chamchamayengi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab meri hasi mein bus sach ki khan khan aayegi,
aur jindagki ki har shaakh pe bus khushi chehchahayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab un do aankhon mein khud ko pa sakunga main,
jab un do baahon mein khud ko kho sakunga main,
woh choodiyan khankengi aur meri dhadkanein badh jayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab uski hasi ko sunna har pal ki khwahish hoga,
jab uski ichchha poori karna jeene ka maksad hoga,
jab ek pal na dikhegi woh aur meri aankhen bhar aayengi,
woh subah kabhi to aayegi.


by - ram

Friday, July 22, 2011

Anjaana chehra..


kuch dekhta hun main door us kinare par,
jisse hasil kar pana mushkil lagta hai mere liyen..

pehchan lena us mod se aati har mehak ko,
aur chahna har pal ussi lamhe ko jo jiya tha maine kabhi..

us ped ki chhanv mein baithke khud ko dekhna,
koshish karna pehchanne ki jo chehra waqt ne badal diya h mera..

sochne ki koshish mein sab kuchh badal dene k liyen,
naya kuchh laane ke liyen jo mera hoga b nahi shayad..