Pages

Sunday, August 14, 2011

woh subah..

jab aasma ki chhat meri hogi, aur mera suraj chamkayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab saans le sakunga main, har gham ko bhula kar,
jab jeet jaunga main kai haar mita kar,
jab kabhi na bhujhne wali kiranen chamchamayengi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab meri hasi mein bus sach ki khan khan aayegi,
aur jindagki ki har shaakh pe bus khushi chehchahayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab un do aankhon mein khud ko pa sakunga main,
jab un do baahon mein khud ko kho sakunga main,
woh choodiyan khankengi aur meri dhadkanein badh jayegi,
woh subah kabhi to aayegi.

jab uski hasi ko sunna har pal ki khwahish hoga,
jab uski ichchha poori karna jeene ka maksad hoga,
jab ek pal na dikhegi woh aur meri aankhen bhar aayengi,
woh subah kabhi to aayegi.


by - ram

No comments: