Pages

Monday, February 14, 2011

aur door basi ek nagri mein..


jab palkein bhaari hoti hain, par mann sone nahi deta hai.
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..

ab raatein maana karta hun, kuch ashkon k beh jaane ko.
aur subah ka suraj ugta hai, phir din kaala kar jaane ko.
Jab raah sujhana khud ko hi, sabse mushkil sa lagta hai,
aur bheed mein khona har pal hi, bus hal is sabka lagta hai..

har chehre mein jise dekhun main, woh kahin to gum sa lagta hai..
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..

ek shakla badalne ki dhun mein, main khud ko khota jata hun..
aur baat johta phir sach ki, main jhooth sa hota jata hun..
har bhool ko sach sa karta main, khud ko hi bebus pata hun..
phir patri pe wapis aane ko, ek aur bhool kar jata hun..

inhi andhero mein thak kar sona, jeene ka maksad lagta hai,
aur door basi ek nagri mein, koi dheeme dheeme rota hai..